SARVASHRESHTH YODDHA

SARVSHRESHTH YODDHA

By

Abhishek aryaavart




                  SARVSHRESHTH YODDHA.. 


Jo dar or chahat se mukt hai,

dhyan jiska swayam ko shreshth banane mein trupt hai,

jisko maut se bhi bhay na lage


jisko kisi bhi rishte se koi chahat na rahe


usi ke hathon mein talwar shokti hai,

Jis ko fathey se nahin lagne se isko ho,

is duniya ka sarwa shresht yoddha


vahi kahlata hai,

Tum is duniya ki sarjak!!!!  


agar sun rahe ho to yah jaan lo..

Apne bacchon ki hamesha pariksha lete rahte ho naa!

Aaj main tumhen ek chunauti deta hun,

""'Mushkilo Se Bhar Do Mera Har Rasta Katrinaiyo Aur Musibatose Se Bhar Do Meri Har Subha, Manzilo Ko Itna Dur Kar Do Ki Najar Hi Na Aaye Dhyan Mera Sirf Sangharsh Per Rahe Bus Ladte Ladte Mera Dam Nikal Jaaye"""

Maut Ko Padhaai Ki Tarah Sath Rakhunga,

JINDAGI KE MAIDAN MEIN MEIN VIRODH BHATI LADUNGA,

"law of attraction ki bakwas agar sach hai!!"

"toh mai is puri kaynat se jannat nahin jahannam ki aag mangta hun".

jalla do mera har ek khwab,


mehnat ko to nyaay diya nahin ab sirf na kamyabi do

rulao mujhe har ek raat jiske pass pane yah khone ko kuchh bacche hi na..,

 BANU MAIN VO NIDAR YODDHA


SHAKTI JISKI APRAMPAAR,

"Mera Sharir Aur Rooh Suno Aur Yah Jaan Lo Ham Kisi Manzil Yah Mukam Tak Pahunchne Ke Liye Bane Hi Nahin Hai",

 HAM TO VOH  YODDHA HAI JO SANGHARSH KE SAFAR MEIN JEETE HAI,

yeh duniya success ki haddi dikha kar kutton ki tarah nachati hai naa chahti hai naa..,

toh jaa chahie he nahin koi success ya parinaam,

 ZINDAGI KE HAR PAL KO BHEJ RAHA HUN MAIN JUNG KA PAIGAM,

Bbhad Mein Gai Success


Bhad Mein Gaya


Sapnon Ka Vo Mukmmal Jahan ",

 ab nahin chahie kuchh bhi,"


na daulat ki vasna na shohrat ka tamasha" kyunki aaj jab nikala hai meri mehnat ka janaza to kuchh bhi pane ya khone ki maiya se moh uth chuka hai mera..

bus ishq ki talwar utha kar khud ki har had se lagana

ZINDAGI KI IS JUNG MEIN MUJHE LADTE HUE HAI MARNA,

Mai voh yuddha banunga jo kisi raja ka gulam nahi,

jo jung jitne ke liye nahi,

per khud ko behtar banane ke liye lade,

vo sarvshreshth ladiya ho rangbhoomi main sirf usi ka warchashwa ho,

Per Kisi Bhi Samrajya Per Fateh Pane Ka Wo Gulam Nahi,

 Nam Ho Jiska Sabse Bada,

 Shaan Ho Jiski Sabse Jyada,

 per ine sab ko khone ka dar nahi ..uski talwar kisi ke kahane per nahin per uski marji se chalti ho..,

 jeet jiski dushman ki har me nahi per khud ko behtar banane mein ho,

Jo manzilon ka nahi safar ka aashiq ho,

"ki ranbhoomi me mera lahoo beh rha ho naase fat rahi ho dushman ki talwar mere seene ke aar paar ho kuchh chand saase bach gaye ho per mere ishq ki talwar fir bhi ruke nahin chalti jaaye" ..

 

....”JO TARIKH KE SINE PER NISHAN CHHOD JAEGA MAIN VAH SARVSHRESHTH YODDHA KEH LAAUNGA "


-  ABHISHEK ARYAVART

Comments

Popular posts from this blog

THE QUEEN OF MY DREAMS!

HER HAPPINESS OR HER LOVE