SUCCESS KA RASTA Jindagi ke raste per aap aage badh rahe the,ekadam sidha Rasta tha Bina kisi disturbance ya confusion ke ekadam achcha smooth sa Rasta,per kuchh der bad aapke samne ek divergent aata Hai, Wo achcha sa smooth sa Rasta ab do raste mein baith jaate Hain, ek jata Hai Right ki taraf, aur dusra Left ki taraf, "ab aap ko choose karna padega ab ki aapko kahan jaana hai" to ab aap donon rasto ko badi Bariki se observe karte ho, aur aap ko dikhta Hai jo left wala Rasta Hai vah bahut sare "Nukile canto aur pattharon se bhara hua Hai" vha roshni bahut kam hai aur aage to ekadam andhera hai,aur upar Se kha Koi sign board bhi nahi Hai aur sabse bura vha per Koi foodprints bhi nahin Hai, shayad aaj se pahle is raste per Koi nahi Gaya yah dekhte hi aapke andar ek dar paida hota Hai, Tabhi aapki najar chahti hai Right wale raste per ismein "Koi nukile pathar nahi Hai bahut smooth hai bahut sahi roshani aur sign board se bhara hua ...