SUCCESS KA RASTA


SUCCESS KA RASTA

Jindagi ke raste per aap aage badh rahe the,ekadam sidha Rasta tha Bina kisi disturbance ya confusion ke ekadam achcha smooth sa Rasta,per kuchh der bad aapke samne ek divergent aata Hai,

Wo achcha sa smooth sa Rasta ab do raste mein baith jaate Hain,

ek jata Hai Right ki taraf,

 aur dusra Left ki taraf,

 "ab aap ko choose karna padega ab ki aapko kahan jaana hai"

 to ab aap donon rasto ko badi Bariki se observe karte ho,

 aur aap ko dikhta Hai jo left wala Rasta Hai vah bahut sare "Nukile canto aur pattharon se bhara hua Hai" vha roshni bahut kam hai aur aage to ekadam andhera hai,aur upar Se kha Koi sign board bhi nahi Hai aur sabse bura vha per Koi foodprints bhi nahin Hai,

 shayad aaj se pahle is raste per Koi nahi Gaya yah dekhte hi aapke andar ek dar paida hota Hai,

Tabhi aapki najar chahti hai Right wale raste per ismein "Koi nukile pathar nahi Hai bahut smooth hai bahut sahi roshani aur sign board se bhara hua Hai" 

  aur is raste per bahut sare footprints Dheak kr aap ek second mein usko choose kar lete ho..

"SCHOOL EDUCATION", 

"GRADUATION", 

"JOB SECURITY 9 TO 5 WALI",

 "SHAADI BYAAH" , 

"FAMILY PLANNING",

"RETIREMENT PLANNING", 

"MAUT KI WAITING"!!!

Agar aap right wale Rasta choose karne wale ho naa to meri aapse ek request hai blogg ko aage padhna yhi chod do..























 

 

Per agar aap choose karte ho Left Wala Rasta "nukiley pathar" aur "kaato" wala dard ka rasta,

 isliye nahi kyuki aapko right wala pasand nahi  aaya yah is wale raste per Koi khajana chhipa hua Hai. per isliye kyunki aap dekhna chahte ho ki ek insaan ki limits ko kitna jyada expand Kiya Ja sakta hai,

aap dekhna chahte ho ki aap apne aap ko kitna grow kar sakte ho. aap dard ko sahe Kar dar ki dhajjiyan uda kr life ki uncertainty se ishq karna chahte ho,

 to Mera aapko Salam Hai kyunki har Koi is raste per nahi chal pata 

"Unconditionally Pyar Karne ka rasta",

"Apne dreams ko reality mein badalne ka rasta",

 "Apne sare decision khud lene ka.." 

"Jindagi ko apne dam per jaane ka rasta", 

"Apni Khushi apne hath mein rakhna failure mai ..bure waqt mein sirf khud ko blame karne ka Rasta" 

Risk ko apne sath mein lekar life ki uncertainty ko Gale laga kar har pal har situation Mai khud ko phle se behtar  banane ka rasta,wo "mushkil Rasta" wo "dard bhara Rasta",

aapko dard hoga aap chikho gay aap chillaoge jab wo nukile patthar aur kante aapko chubenge us andhe raste per aap roouge app aansu bahaaoge aur fir uss dard ko Seh  kar overcome karke ..aap khade hauge aur aapki yah he struggle Aapko Duniya Ke 800 Crore Logon Se alag kar degi aapko audience stage per le jayegi,

 kyunki jis raste par koi ek kadam aage badhane ki soch bhi nahi  aap usko Paar Kar gye per ho sakta hai aapko wo Na Mile Jo aap chahte tha,

 ho sakta hai jis success ki talash mein aap the is raste per the wo dur-dur Tak najar Hi Na aye,

" Shayad Is Raste Per Wo Hai Hi Nahi "

 ho sakta hai aapko sirf dard mile aur itna jyada ki aap usko seh he na  pao ,life ki uncertainty aur risk mein aapne jo udan bhari thi ab life practicality gravity ban ke aapko buri tarah Se jameen per gira de aur aap itna bura giroh ki fir kabhi utth he Na pao..

 ho sakta hai apne passion aur dream ko follow karne ke chakkar mein survival bhi mushkil ho jaaye,

" Ho sakta Hai Meri yeh soch sirf ek bakwas philosophy hai aur yah mujhe aur aapko donon ko barbad karke rakh de sab kuchh khatm", 

 "The End"..


Pr Yah bhi to ho sakta hai itna dard shene ke bad bhi aapke Dil mein thodi si aag jalti rah jaaye,

 aur wo aapko Sari practicality ke bavjud bhi fir se uthane per majbur kar de,

 ho sakta hai aap fir se khade ho jao aur "jaise hi aap khade houge aap Puri insaniyat ki limit ko expand kar jaaoge" ,

human risk ke liye ek Naya standard set karoge, croreo log ek ke liye ek ummid ek inspiration ban jaaoge "kyunki aaj se pahle itna kisi ne saha he nahi ,itna jyada Koi Jala  hi nahi tapa hi nahi" kisi main Tere jaisi himmat ki nahi thi yaar per tune  kar dikhaya,

 han shayad tumhen wo so-called success Mili nahi hai per tumhari ye jo struggle Hai ,haar Na manne  ka Jo yah jajba hai wo apne aap mein Hi ek misal hai,

 us raste per chal ke tumhari Jo personality develop Hui Hai tumhara jo character buildup hua Hai "carriage" or "fearlessness" jaisi mental muscles jo tumne banaye hai,

"Uske samne success ek bahut hi chhoti chiz hai"

 is duniya ki sari Daulat,degree Name,flame, Samaj Mein Izzat sab kuchh Tere samne sirf doo Kodi ka hai ..sirf doo Kodi ka,

 kyunki use raste per chalkar tum ek ordinary insan se ek SUPERHUMAN Ban chuke ho,

"Aur mujhe last mein sirf itna hi kahana hai,yaar ho sake to life mai hamesha mushkil raste chuno agar sirf comfort or security chahie he thi to bhed bakri bante na insan banne ka kya fayda"

|| STAY MOTIVATED, STAY INSPIRED ||

Abhishek Aryavart


Comments

Popular posts from this blog

THE QUEEN OF MY DREAMS!

HER HAPPINESS OR HER LOVE